Poem: Ye saali zindagi

Anjaan raaste
Ajnabi log
Saya bhi kabhi kabhi
Lagta nahin apna
Gairon ke ghar main hota
To tab bhi maan leta
Ham ko to lagti hai
Apne ghar main hi khali zindagi
Ye saali zindagi

Sooni rahon se
Guzarte hain
Kabhi kabhi
Rahein ham se
Milte hai surag
Ghum ke har taraf
Dojakh si lagti hai ab
Jo kabhi thi diwali zindagi
Ye saali zindagi

Beshaakh hai
Yahan pe
Har ek darakht
Sookha hai
Har patta
Har boota
Jo thi aftab si roshan
Ab andhere se bhi kaali zindagi
Ye saali zindagi

2 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *