Poem: Ek Ashq

Ek ashq aankhon se nikalta hai, Aur dil main utar jaata hai
Waqt ki karwatein badalte hi, Har oor bikhar jaata hai

Zindagi ki kadwahat, Aur safar ki gard ko
Dhote dhote hi, Na jane kitna waqt guzar jaata hai

Sambhalo chaahein jitna, ashqon ko palkon ke tale
Jab sailab umadta hai, to had se guzar jaata hai

Nahin likha hai har ek ashq pe, pochhne wale ka pata
Kandhe ko dekh kar, khud-ba-khud hi utar aata hai

Mere ek ashq ki, keemat hi kya hai is duniya main
Pani ka katra hi to, un ko nazar aata hai

Ham bhi ho jayenge gum, kisi roz kisi mode pe to
Aise jeene se to, ji apna bhi bhar jaata hai

Ek ashq aankhon se nikalta hai, Aur dil main utar jaata hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *