Kaash teri ankhon ko padh ke
Jaan leta main sanam
Waqt ne jo kuchh likha tha
Tere mere vaste
Ye faasle ye dooriyan
Ye gardishein ye raste
Lambi andheri raton main
Ye karvatein badalne ka silsila
Mujhe ishq-o-chahat main teri sanam
Kuchh mila to bas yahi mila
Kaash main kah paata wo
Jo main chaah ke bhi na kah saka
Meri khamoshi tu na samajh saki
Tera palkein jhukana main na samajh saka
Is tarah ban gayi darmiyan apne
Khamosh ki ek deewar
Aur kar gayi donon ko tanha
Tu us paar main is paar
Kaash…..
Google transliterate karke hindi mein bhi daaliye Birlaji, aise padhne mein mushkil hoti hai.
Btw, nice poem 🙂