Do raaste hain jeene ke
Bas Zinda raho ya Zindagi jiyo
Jaisa ki hota hai
Aksar hamari zindagi main
Ek raasta hi hamesha
Hamari kismat main nahin hota
Kismat main to hote hain
Chhote chhote tukde
Kai raston se
Kuchh itne roshan
Ki aankhein hi band ho jayein
Aur kuchh itne andhere
Ki Jugnu bhi sooraj jaisa lage
Ham hain ek sookhe hue tinke
Jo udte hain sadkon pe
Awara hawaon ke isharon pe
Anjani dishaon main
Raftar hai ajab
Is zindagi ki gaadi ki
Kucch raste aise aate hain
Ki kabhi sadiyan guzar jaati hain
Aur ehsaas bhi nahin hota
Aur kabhi kewal ehsaas hota hai
Ek pal ki tanhai main sadiyon ka
In bikhre hue tukdon se hi
Ham ko apna nasheman banana hai
Gum se bhare hue dariya se
Khushiyon ko chun ke laana hai
Kisi ko pyar se milti hai
Kisi ko shumaar se milti hai
Ye khushi to aisi cheej hai
Jo bade dushwar se milti hai
Kuch Raste aise hain
hum gum ho jaate hain,
chalte chalte jindagi ke
raste par phir kahin se mil jaate hain.
And in other news…. 🙂
Hey Arindham,
Pls promote/vote for my blog at this url:
http://www.indiblogger.in/indipost.php?post=46697
Cheers!!
🙂